The Picture Of Poverty...!

Arib Alam Siddiqui
0


Poverty Is One Of the Major Issues In The World...!

Poverty refers to the condition of not having the means to afford basic human needs such as clean water, nutrition, health care, clothing and shelter...
Poverty is one of the major social problems which Pakistan is facing. It is one of the most important and sensitive issue not only for Pakistan but for the whole world. 

Poverty can cause other social problems like theft, bribe, corruption, adultery, lawlessness, injustice,drug abuse, smuggling,Robbery and other crimes become commonplace  illiteracy and many other social evils etc.
Poverty is a common social issue that has troubled nations for thousands of years... There are thousands and millions of people in our world who die every year just because of poverty and malnutrition. The scourge of poverty has devastated many families.They are forced to go far and live in misery. Their only mistake is that they were born into a selfish world where people take away the rights of the innocent. They Do Not See Poverty When children Go To Sleep Hungry,

There is no doubt that there are many good people who are working for the poor. But there are many oppressors who do not care about the rights of other human beings. Poverty in the world is only due to the immoral behavior of rich and selfish people.۔ Poverty is caused by the inequitable distribution of wealth. There should be a tendency for money to circulate to prevent the immoral distribution of wealth.

Lack Of Peace Is The Biggest Cause Of Poverty So We Have To Work To Bring Peace First

If we do not try to eradicate the scourge of poverty now, our future generations may suffer more....!



________________________________________________________________________________
Roman Urdu Translations:-

Gurbat Duniya Ke Sab Se Barray Masail Mein Se Aik Hai...!

Gurbat Se Murad Yeh Hai Ke Bunyadi Insani Zaroriat Jaisay Saaf Pani, Khurak, Sehat Ki Dekh Bhaal, Libaas aur Rehaish  Ki Sahulat ka Mahdood hona...

Gurbat Un Sab Barray Masharti Masail Mein Se Aik Hai Jis Ka Pakistan Ko Saamna Hai. Yeh Na Sirf Pakistan Balkay Poori Duniya Ke Liye Aik Intahai Ahem Aur Hassas Masla Hai. Gurbat Deegar Masharti Pareshaniyon Ka Sabab Ban Sakti Hai Jaisay Chori, Rishwat, Bud Unwani, Zina, Laqanoniat, Na-Insafi,Manshiat Ka Istemal,Smuggling,Na-Khuwandagi,Daketiya Or Digar Jaraim Mamool ban jate hain Aur Bhoot Si Dusri Masharti Baraiya Janam Leti Hain.


Gurbat Aik Mushtarqa Masharti Masla Hai Jis Naay Hazaron Saloon Se Qomon Ko Pareshan Kar Rakha Hai
Humari Duniya Main Aisay Hazaron Aur Lakhoon Insan Mojood Hain Jo Sirf Gurbat Ki Wajah Se Aur Ghizai Qillat Ka Shikaar Ho Kar Har Saal Mar Jatay Hain. Gurbat Ki Laanat Ne Bohat Se Khandano Ko Tabah Kardiya Hai. Mulkon Mein Rozgaar Ke Zaraye Mehdood Honay Ki Wajah Se Bohat Se Log Apne Pyaron Se Meelon Door Jane Par Majboor Hain Aur Haalat e Zaar Mein Rehne Par Majboor Hain. 

Un Ki Sirf Ghalti Yeh Hai Ke, Woh Is Khud Gharz Duniya Mein Peda Hue Hain, Jahan Log Be Gunaaho Ka Haq Chentay Hain.Is Mein Koi Shak Nahi Ke Bohat Saaray Achay Log Bhi Hain Is Dunya main Jo Ghareebon Ke Liye Kaam Kar Rahay Hain Lekin Zalimana Afraad Ki Tadaad Ziyada Hai Jo Dosray Insanon Ke Haqooq Ki Parwah Nahi Karte Hain.Duniya Mein Gurbat Sirf Ameer Aur Khudgharz Logon Ke Ghair Ikhlaqi Sulooq Ki Wajah Se Hai.Wo Nahi Dekhte K Gareeb K Bachy Bhoke So Rahy Hain...

Doulat Ki Ghair Munsifana Taqseem Ki Wajah Se Gurbat Ka Masla Peda Huwa Hai. Doulat Ki Ghair Ikhlaqi Taqseem Ko Roknay Ke Liye Raqam  Ki Gardish Ka Rujhan Hona Chahiye.Aman Ka Fuqdaan Gurbat Ki Sab Se Barri Wajah Hai Lehaza Hamein Pehlay Aman Laane Ke Liye Kaam Karna Hoga. Agar Ab Hum Gurbat Ki Laanat Ko Khatam Karne Ki Koshish Nahi Karte Hain To Hamari Anay Wali Naslen Is Ka Ziyada Nuqsaan Uthaaen Sakti Hain....!

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)